Aese Bichrro Nahin, Sadaa Ke Liye,
Mujh Se Rootho Na Tum, Khuda Ke Liye,
Main Ne Manga Hai Bas Tumhe Rab Se,
Hath Jab Bhi Uthey Dua Ke Liye..
Taazi Hai Ab Bhi Us Mulaaqat Ki Khushbu,
Jazbaat Me Dube Hue Lamhat Ki Khushbu,
Jis Phul Ko Pal Bhar K Lye Thaam Liya Tha,
Muddat Se Haathon Me Hai Usi Gulaab Ki Khushbu…
Taron ki tarha Hamney
Ek shaks ko chaaha tha
Apnon ki tarha Hamney
Ek shaks ko samjha tha
Phoolon ki tarhaa Hamney
Wo shaks qayamat tha
Kya uski karein Batain
Din us ky liye Paida
Aur uski he thi Ratain
Kab milta kisi se tha
Ham se thi mulaqatain
Rang uska Shahaabi tha
Zulfon mein thi Mehkarein
Aankhain thi ke jaadu tha
Palkain thi k talwarain
Dushman bi agar dekhein
so jaan se dil Harain
Kuch tum se wo milta tha
Baton mein shahaabat thi
Han tum sa hi lagtaa tha
Shokhi mein sharaarat main
Lagta bhi tumhe sa tha
Dastur-e-mohabbat main
Wo shaks hamain aik din
Apnon ki tarhaa Bhoolla
Taron ki tarha doobba
Phoolon ki tarha tootta
Phir haath na aaya woh
Hamney bohat dhoondha
Tum kis liye chonkey hom
Kab zikar tumhar hai
Kab tum se takaaza hai
Kab tum se shikaayat hai
Ikk taaza Hikayat hai
Sun lo tou inayat hai
Ek shaks ko chaaha tha
Apnon ki tarha Hamney.
Kitna Khamosh Hoon Main Andar Say
Mujhsay Ab Log Kamm Hi Mitay Hain
Youn Bhi Hutt Sa Gaya Hoon Manzar Say
To Yeh Qutbon Pay Likh Dena, “Mohabbat Marr Nahi Sakti”
Kehty hen yaadon k bhoj talay dab k MARR gaya….!;(
Mohabbat ke hosh ab thikaney lage hain,
Suna hai humain woh bhulaney lage hain,
To kya hum unhe yaad aney lage hain,
Hattaye they jo raah se doston ki,
Woh pathar mere ghar mein main aney lage hain,
Woh phir mujhe yaad aney lage hain,
Jinhe bhoolne mein zamaney lage hain,
Yeh kehna tha unse mohabbat hai mujh ko,
Yeh kehne mein mujh ko zamaney lage hain,
Qayamaat yaqeenan ab qareeb agayi hai,
Khumaar ab to masjid main jaaney lage hain..