Chaand jub baam se keh deta hai Allah hafiz
Dil bhi her kaam se keh deta hai Allah hafiz
Goonjte rehte hain alfaz miry kaanon ma
Too to aaram se keh deta hai Allah hafiz
#########################################################################
Mujh Se Pathar Ye Keh Kar Bachne Lage.
Tum Na Sambhlo Ge Thokaren Kha Kar….
#########################################################################
Tujhey kho kar bhi tujhay paaoon jahan tak dekhun
#########################################################################
Bohat Farsooda lagte hain mujhay ab yaar k qisse
Gul-o-gulzaar ki baten lab-o-Rukhsaar k qisse
Yahan sab k muqaddar main faqat zakham-e-Judaye hai
Sabhi Jhoote Fasane hain wisaal-e-yaar k qisse
Bhala ishq-o-Muhabbat main kisi ka pait bharta hai?
Suno tum ko sunata hon main karobaark qisse
Mere ehbaab kehte hain yehi ik aib hai mujh main
Sar-e-Dewaar likhta hon pas-e-dewaar k kisse
Main aksar islye logon se jakar khud nahi milta
Wohi bekaar ki baten Wohi bekaar k qisse
#########################################################################
Mujhe aarzoo-e-sehar rahi yun hi raat bari dair tak
Na bikher saka na simat saka yun hi raat bari dair tak
Hai boht azaab aur akailay hum,aur shab-e-gam bhi taweel tar
Rahi zindagi bhi saraab aur rahi ankh tar bari dair tak
Yahan her taraf hai alag saman, sabhi hud pasand sabhi khud numa
Dil-e-beqrar ko na mil saka koi charagar bai dair tak
Mujhe zindagi hai azeez tar,isi waste meray hamsafr
Muje qatra qatra pila zehar jo karay asar bari dair tak …!!!
#########################################################################
Ho Na Jaye Husan Ki Shan Me Gustakhi kaheen..!!
Tum Chalay Jao K Tumhay Dekh k Pyar Ata Hy…
#########################################################################
Tum ne aa kar mizaaj pooch liya,
Ab tabiyat kahan sambhalti hai…
#########################################################################